Thak jata hu main roz tamaam uljhano se -- sulajhne jaisa kabhi koii mudda na mila -- tum to jeete rahe mere har roz ke charcho main .. par main rahu jismain aise tera koii kissa na mila ....
Mujh ko to hosh nahi tumko khbar ho shaayad Log kahte hai ki tum ne mujhe barbaad kiya Iska rona nahi kyun tum ne kiya dil barbaad Iska gham hai ki bahut der mein barbaad kiya
Karoge yaad phir guzre zamaane ko Tarsoge hamare saath ek pal bitaane ko, Phir awaaz doge hamein aane ko, Hum kahenge darvaza nahi hai kabr se bahar aane ko...
Raat kya dhali sitare chale gaye, gairo se kya gila jab apne chale gaye Jeet to sakte the ishq ki baaji hum bhi, par tumhe jitane ke liye hum haarte chale gaye.
Is sheher namuraad ki izzat karega kaun hum bhi chale gaye to mohabbat karega kaun Is ghar ki dekhbhal ko viraniyaan to hain jaale hata diye to hifazat karega kaun
koi aankhon hi aankhon main baat kar leta hai koi aankhon ho aankhon main mulakaat kar leta hai bada mushkil hota hai jawaab dena jab koi khamosh rehkar bhi itnay sawaal kar leta hai
Ek pal mein ek sadi ka mazaa humse pucchhiye Do din ki zindagi ka mazaa hum se pucchhiye Bhoole hain unhe rafta rafta muddaton mein hum Quishton mein khudkhushi ka mazaa humse pucchhiye
Aagaz-e ashiqui ka mazaa aap jaaniye Anjamm-e- ashiqui ka mazaa hum se pucchhiye Jalate deeyon mein jalate gharon jaisi zau kahan Sarkaar, roshni ka mazaa hum se pucchhiye Woh jaan hi gaye ke humein unse muhabbat hain Ankhon ki mukhbhari ka mazaaa humse puchchiye
TanHaiYon Se Nahi Hum MeHfil Se DartE Hain, DUnIyA Se NahI HuM KhuD Se DaRte HAin, YuN To BAhut KuCh KhOYa HaiN HuMne, Na JaAne KyUn TuJhe KhOne Se DaRte HaIn.
Jamin par raho par aasman ka khwab rakho.. tum apni soch ko har waqt lajawaab rakho... khade na ho sako itna na sar jhukao kabhi.. tum apne hathon main kirdaar ki kitab rakho...
ubhar raha hai suraj to dhoop nikalegi... ujaale main raho mat dhundh ka hisaab rakho... mile to aise ki koi bhool na paae tumhe... mehek wafa ki rakho aur behisaab rakho...
akalmandon main raho to akalmandon ki tarah... aur nadaano main raho to raho naadan se... woh to kal tha aur apna bhi nahi tha doston... aaj ko lekin sajaa lo ek nayi pehchaan se doston....
Mere is dil ka yun bezubaan hona.... shayad teri hi dhadhkanon ki hi awaaz hai... Yun hi to nahin aa jata hai mujhko yakeen.. zaroor isme tera bhi koi haath hai... Kab tak chupaoon yun in nazron key ishaare... thoda thoda to shayad inko bhi yeh ehsaas hai... Jo odh rakha hai berukhi ka tumne aanchal... Kya is sey bhi dost, ab tumhein inkaar hai..... ---- Ravish Mishra
Unko pyar karne ka hisaab na aaya Hamari Kisi baat ka jawaab na aaya Humto jaagte hi rahe unke khayalon mein Aur unhe Sokar bhi hamara khwaab na aaya ---- Deep S
Aansu ko ankhon kiDehliz pe laya na karo. Apne dil ki halat Kisiko bataya na karo. Log mutthi bhar namak liye Ghoom rahe hain Apne zakhm kisiko Dikhaya na karo. --- Manish Dalal
Labon pe aaj unka naam aa gaya, Pyas ke haath jaise jaam aa gaya, Dole kadam to gira unki bahon mein jaaker, Aaj hamara peena hi hamare kaam aa gaya ----- Soni Gaur
Jab Tere Dhun Men Jia Karty They Ham Bhi Chup Chap Phira Karty They Ankhoon Men Peyas Hua Karty Thi Dil Men Toofan Utha KartyThey Log Aatey They Ghazal Suneney Ko Ham Teri Bat Kia Karty They ---- Deep S
kaise keh de ki mulakat nahi hoti hain roj milte hain magar baat nahi hoti hain jab bhi milte hain puch lete hain achche ho "deep" isse aage aur koii baat nahi hoti hain Taskhara (zikra) dard- e - mohabbat ka nakar ae nadan sabse kehne ki har ik baat nahi hoti hain --- Manjit Gautam
kuch yu tha mizaz apna bhi aye yaar ki daard ko khusi samajhkar khush hote rahe unhe kya khabar thi jo mere jashna main shamil the ki dil hi dil main hum rote rahe --- Manjit Gautam
kabhi shariff kabhi shayer kabhi sharabi najar aata hain sabse dil se milta hain aur mushkurata hain kwab hain tamaam uske har roj ik ik kar jeeta hain dusre ke ashka bhi apna samajh ke peeta hain dekhne main kameena hain par kuch achcha bhi hain yeh haqeeqat hain woh aur koii nahi aapna dost "Deepak" hain ---- Manjeet
har roj nayi uljhan har roj naya dard mere dar pe chale aate hain sochta hu ab ghar badlu ya unhe bhulauu raasta ya de du unhe aapne achchepan ka wasta par jane kyu unhe bhi hain mera hi ik shaukh nahi to duniya main log to lakhon hain --- Manjit Gautam
jab bhi khayal aaya to apka aaya... ankein band ki to khawab aapka aaya........ socha yaad kar loon khuda ko pal do pal ....... par honth khule to naam aapka aaya..........!
Peene Do yaaron ki abhi raat baaki hai, Meri Hisse ke do jaam abhi baaki hai, Jayenge sab kuch bhulakar maikhane se, Kyunki abhi dil mein kisiki yaad baaki hai --- Deep S
Bhoole hai vo kuch is tarah hamein, Ki unhe samajh pana bhi mushkil ho gaya, Kya pata kio khata ho gayee humse, Ya koi aur unke Jyada kareeb ho gaya ----- Deep S
Intezaar rehta har shaam tera, Raatein katati hain le-le kar naam tera... Muddat se baithe hain dehlij par is ehsaas ke saath, Ki aaj aayega koi paigaam tera.... ---- Deep S
In aapno ki duniya main kise ajnabi bataye behtar yahin hain khud hi yeh baat samjh jay ki yeh hain waqt ka takaza har shakhsha hain badalta kal jo gale padta tha woh aaj dekh hain mukarta kise kahe hum dushman kise dost hum pukare aajkal dost hamare dushman se najar aaye in aapno ki duniya main kise ajnabi bataye kispe uthaye ungli kise mujrim hum thehraye behtar yahin hain chup chap hum unhe chod aage badh jaye In aapno ki duniya main kise ajnabi bataye ------------- Manjit
utha kay haath Khuda say bas maangi yahi dua naseeb hon khushiyan tumhain tum khush raho sada tum ko rahat milay , tum ko chahat milay tumhain saray jahan ki muhabbat milay jahan main sab se hon achay tumharay naseeb koi dukh kabhi bhi na aaye qareeb tumharay dil ki har aarzooo poori Khuda karay tumhain chahnay walon ko kabhi bhi na juda karay mil jayen tum ko meray bhi naseeb ki khushiyaan dua hay bad tum ko kabhi gham na milay yahan