Google

30 March, 2007

bahana

Nasha hai unki ankhon ka..hum pene ka bahana karte hain...
marne ki tamanna hai..hum jeene ka bahana karte hain...
chaayi hai khushi unke dil main woh gum ka bahana karte hain...
Deewane tera koi ghar hai na dar...woh soch kar mud jaate hain...
rakhen ke lie dil hai mera...par woh na aane ke bahane khojte firte hain...
---
Ravish Mishra

Labels:

12 March, 2007

Khuda

Nazarein na hoti ho nazarana na hota...
is duniya mai hasinon ka gujaara na hota...
humse ye mat kaho ki dil lagana chor dein....
jaakar khuda se kaho ki husn banana chor de....
---
Ravish Mishra

Labels:

09 March, 2007

Log

Dekhte hi dekhte shaitaan ban jaate hai log..
imaan ke bazaar main be-imaan ban jaate hain lag...?

Jo shehar ki har gali ka jaante hai har makaan...
dekhkar andhe ki kyon anjaan ban jaate hain log...?

kis kadar badli hui hai shakal har insaan ki...
kal khuda tha aj kyon haeiwan ban jaate hain log....?

pyaar ke kisse mohabbat ki kahani bhulakar...
kyon Quatilon jaisi muskaan ban jaate hain log...?

khoon bhai ka bahaakar Maa ka sauda karke...
Kyon mulk aur kaum ki pehchaan ban jaate hain log....?

---
Ravish Mishra

Labels:

08 March, 2007

naseeb

Apne Hathon Ki Lakeron Ko Kya Dekh Raha Hai,
Naseeb unke Bhi Hote hain jinke Hath Nahi Hote

Kismat

mana ke diya jo kismat ne wo thoda nahin...
maine bhi muskura ke ladna choda nahin.....

Labels:

07 March, 2007

Nahi aaya

Zindagi bahut khoobsoorat hai...
magar humein jeena nahi aata....
har cheej main ek ajab nasha hai...
par kya karein humein peena nahi aata...

---
Ravish mishra

Labels:

01 March, 2007

Ilzaam

Sharabi ilzaam sharab ko deta hai...
Aashiq ilzaam shabab ko deta hai...
Koi nahi karta qabool apni bhool...
Kaanta bhi ilzaam gulab ko deta hai....
----
Ravish Mishra

Labels: ,