Google

19 April, 2007

sapna

Main sahil pay likhi hoi ibaarat nahi jo lehron sai mit jati hai,
Main baarish ki barasati boond nahi jo baras kar tham jati hai,
Main khwab nahi jisai dekha aur bhula diya,
Main shama nahi jisai phoonka aur bujha diya,
Main chand b nahi jo raat k baad dhal jaya,
Main to woh ahsaas hoon jo tujh main lahoo ban kar gardish karain,
Main to woh rang hoon jo teray dil pay charay to kabhi na mitay,
Khwab, ibaarat, Hawa ki tarah Chand, Boond, shama ki tarah
Meray mitne ka sawaal nahi kyun ka
main to ek sapna hoon aur sapne mitte nahi...!!!!!!!!!
---
Ravish Mishra

Labels:

Qatl

NigaahoN se qatl kar de,
na ho takleef dono ko....
tujhe khanjar uthaane ki,
mujhe gardan jhukaane ki... !!!
---
Ravish Mishra

Labels:

12 April, 2007

Shaamat

Na Misaal milegi Tere Husn ke iss Kayanat me...
tu itni kashish bhari Khoobsorti kahan se Le aaye hai...
Labon pe Maikhane, Ankho mein Paymane...
khuda Jane Aaj kis kiski Shaamat Aye Hai....
--
ravish mishra

Labels:

11 April, 2007

Waqt Nahi

Har khushi hai logon ke daman mein,
Par ek hansi ke liye waqt nahin.
Din raat daudtey duniya mein,
Zindagi ke liye he waqt nahin.

Maa ki loree ka ehsaas to hai,
Par maa ko maa kehne ka waqt nahin.
Saare rishton ko to hum maar chuke,
Ab unhen dafnane ka bhi waqt nahin.
Saare naam mobile mein hain,
Par phone karne ke liye waqt nahin.

Gairon ki kya baat karen,
Jab apno ke liye he waqt nahin.
Aankhon me hai neend badee,
Par sone ka waqt nahin.
Dil hai ghamon se bhara hua,
Par rone ka bhi waqt nahin.

Paison ki daud me aise daude,
Ki thakne ka bhi waqt nahin.
Paraye ehsason ki kya kadr karein,
Jab apne sapno ke liye hi waqt nahin.

Tu hi bata E zindagi,
Iss zindagi ka kya hoga,
Ki har pal maarne walon ko,
Jeene ke liye bhi waqt nahin.......
---
Manjit Gautam

Labels:

10 April, 2007

hum

Sehmi si nigaho me khawab hum jaga denge...
suni si raho me phul hum bicha denge...
hamare sang muskura kar toh dekhiye...
hum apka har gham bhula denge
---
Ravish Mishra

Labels:

02 April, 2007

Khwab

Tere honthon Ki Hasi Banane ka Khwab hai...
Tere Aagosh main Simat Jane Ka Khwab Hai...
Aasma Ban Kar Tuj Par Cha Jane Ka Khwab Hai...
Ajmayish Yu To Acchi Nahi Hoti Ishq ki...
Tu Chahe To Teri Takdir Banane Ka Khwab Hai...
Wo Maut Bhi Laut Jaye Tere Darwaje Pe Aa Ke...
Tuj Ko Aisi Zindgi Dene Ka Khwab Hai...
Jee Bhi Lenge Agar Jeena Pada Tera Bina...
Lekin Tuj Par To Mar Mitne Ka Khwab Hai....!
----
Ravish Mishra

Labels: