Google

27 February, 2007

Muskaan

Zindagi ke liye jeena zaroori hai...
jeene ke liye armaan zaroori hai,
dil main chahe hazaar gum ho phir bhi...
aapke chare par muskaan jaruri hai.....
---
Ravish Mishra

Labels:

26 February, 2007

Muskura

Thukra ke usne mjhko kaha ki muskarao..
Mein hass dia aakhir sawal uski khushi ka tha...
Maine khoya wo jo mera tha hi nahi...
Usne khoya wo jo sirf usi ka tha
----
Ravish Mishra

23 February, 2007

Hum

hum nazron se door hain..aankhon se nahi...
hum khwabon se door hain..khayalon se nahi..
hum dil se door hain..dhadkan se nahi...
hum aapse door hai...aapki yaadon se nahi...
---
Ravish Mishra

22 February, 2007

kuch kar jayenge

khoobiya utni to nahi hai humme...
ki kisi kedilmain ghar bana payenge...
par bhoolna bhi aasan na hoga...
aisa jaroor kuch kar jayenge...
---
Ravish Mishra

21 February, 2007

Udaan

taalim nahi di jaati...
parindo ko udaano ki...
voh to khud hi samajh jaate hain...
oonchai aasmano ki...
---
Ravish Mishra

02 February, 2007

Maut ek kavitaa

Maut tu ek kavitaa hai
mujhse ek kavita ka vada hai milegi mujhko
doobti nabzon mein jab dard ko neend aane lage
zard sa chehra lekar jab chaand ufaq tak pahunche
din abhi paani mein ho, raat kinaare ke kareeb
na andhera na ujaala ho, na abhi raat na din
jism jab khatm ho aur rooh ko jab saans aaye
mujhse ek kavita ka waada hai milegi mujhko
---
From the Movie Anand

Labels: , ,