Google

13 November, 2007

raste

Tumse gujre to the ek roz mere raste ....
par afsoos yeh hain ki manjil nahi thi
-----
Manjit

Labels: , ,

27 July, 2007

masroof

Hum to masroof the apni tanhaiyon mein,
muddaton baad kisi ne pukara hai,
ik pal to hum ruk kar sochne lage,
kya yehi naam hamara hai

Labels:

Faasle

Faasle Jism Ko To Door Le Jaate Hain,
Par Dilon Ke Shahar To Ujarte Nahi,
Aankhon Se Aankhon Ka Rishta Tut Jaye Bhi,
To Saath Dekhe Hue Khwab To Mit Te nahi

Labels:

haal hamara

ye haal hamara hai,
ya tumhare haal ka izhaar karte hain,
nazron se nazrein milti hain,
fir labon par kuch sawaal baar baar uthte hain,
behaal se hum tumhara intezaar karte hain,
ye khayal tumhara hai,
ya hum khayalon se pyaar karte hain

Labels:

Tanha

Tanha Ho Kabhi To Mujhe Dhoondh Lena
Is Duniya Se Nahi, Apne Dil Se Pooch Lena
Aapke AasPaas Hi Kahin Rehta Hain Hum
Yaadon Se Nahin To Saath Guzaare Lamhon Se Pooch Lena!

Labels:

Sham

Sham tanha ab guzarte nahi,
tum aajao sham meri guzar jayegi.
Bechain ruh ko bhi kuch karar mil jayegi.
Teri panaah me sham meri guzar jayegi

Labels:

milo na milo

Tum milo na milo milne ka gham nahi
Tum paas se guzar jao to milne sey kam nahi
Maana key tumhe hamari khadr nahi
Par unsey pooche jinhe hum haasil nahi

Labels:

Sochu

Aasman se uncha hai jo nahi zameen se kam,
Ajeeb apni mohabbat hai ajeeb hai iske sitam,
Sochu to nahi zindagi tumse zyada,
Sochu to nahi tum zindagi se k

Labels:

khoobsoorat

Hum bhi zindagi ke har khoobsoorat rang se,
apni zindagi saza sakte hai,
Hum bhi her kise ke saath Dil se muskura sakte hai,
Bus jara Dard ko haad se gujarne to do yaaron

Labels:

chupke se

Phir chupke se yaad aa gaya koi,
Meri dil ko fir dhadhka gaya hai koi,
Kaise uska shukriya ada karu,
Mujh nachiz ko SHAYAR bana gaya koi

Labels:

Pyar ki baate

Pyar ki baate bahut hai,
Pyar ke charche bahut hai,
Ishq hum ne nahi kiya hai, kyonki,
Ishq mein kharche bahut hai

Labels:

Dil ki dhadkan

Dil ki dhadkan ruk si gaye hain,
saans meri thum si gaye hain,
poocha tha dil ke doctor se hamne,
Usne kaha ki dil mai apki yadein jam si gayi hain

Labels:

17 May, 2007

main nashe mein hun

Yun dawate shabab na do,main nashe mein hun,
Ye dusri sharab na do,main nashe mein hun,
Itna bahut hai tumse nigah mili rahe,
Ab bas karo sharab na do,main nashe mein hun,
Khud ko sambhalna yahan mushqil hai doston,
Chalakti hui sharab na do,main nashe mein hun

--
Ravish

ilzaam na aaye

Jaan kar bhi woh Mujhe jaan na paaye,
Aaj tak woh Mujhe pehchaan na paaye,
Khud hi kar li bewafai humne,
taaki unpar koi ilzaam na aaye…

---
Ravish

Labels:

ye zindagi

Tum bin ye zindagi ulfat si lagti hai,
har pal har lamha muddat si lagti hai,
kami teri aaj bhi mujhe khalti hai,
ab ye zindagi mujhe meri nahi teri si lagti hai...

Mehfil me bhi ab tanhai si lagti hai,
khwabon me bhi surat jaani- pehchaani si lagti hai,
zubaa aaj bhi meri tera hi naam leti hai,
ab ye zindagi mujhe meri nahi teri si lagti hai...

Har raah ke mod par ab zaroorat teri si lagti hai,
dil ki dhadkano ko kami teri si lagti hai,
saanso me aaj bhi khushboo teri hi basti hai,
ab ye zindagi mujhe meri nahi teri si lagti hai..

---
Ravish Mishra

Labels:

08 May, 2007

Shauq-E-Ada

Chehrey Per Banawat Ka Gussa,
Aankhon Say Chalakta Pyar Bhi Hai,
Is Shauq-E-Ada Ko Kya Kahiye
Inkar Bhi Hai Iqraar Bhi Hai....

----
Ravish Mishra

Labels:

07 May, 2007

agar tum izazat do

Apne Zakhmon ko see loon, agar tum izazat do...
aankhon se teri pee loon, agar tum izazat do...
mar to jaldi hi jaonga,thora sa jee loon agar
tum izazat do...

--
ravish

Labels:

main sharaabi to nahi.

Saki naa pilao mujhe ke main sharaabi to nahi...
husn ke jalwe dekha ke naa nasha chadao ke main sharaabi to nahi...

aaye tere deewane tere deedar ki umeed karke...
nazar se yun jaam naa chalkao ke main sharaabi to nahi...

baith ke do chaar baat humse karo...
honthon ke paimane ko, humare honthon se naa lagao ke mein sharaabi to nahi...

yeh jaanti ho ke khumaar chaaya tumhaara humare dil pe ..
yeh baat to samajao ki mein sharaabi to nahi...

maikhane aaye hain gum ko rooksat karne ko...
peene ki kasam leke dil ko naa dukhao ke mein sharaabi nahi!

Labels:

Mohabbat

Shokhi hein nazakat hainn , aankhoon mein shararat hein...
Aisa bhi sharmana kya ,kah do ki mohabbat hein...
Aah!!! kahne ki jaroorat kya,baaton ki hakeekat kya....
chhalke na nigahoon se aisi mohabbat hi kya...!

----
Ravish mishra

Labels:

19 April, 2007

sapna

Main sahil pay likhi hoi ibaarat nahi jo lehron sai mit jati hai,
Main baarish ki barasati boond nahi jo baras kar tham jati hai,
Main khwab nahi jisai dekha aur bhula diya,
Main shama nahi jisai phoonka aur bujha diya,
Main chand b nahi jo raat k baad dhal jaya,
Main to woh ahsaas hoon jo tujh main lahoo ban kar gardish karain,
Main to woh rang hoon jo teray dil pay charay to kabhi na mitay,
Khwab, ibaarat, Hawa ki tarah Chand, Boond, shama ki tarah
Meray mitne ka sawaal nahi kyun ka
main to ek sapna hoon aur sapne mitte nahi...!!!!!!!!!
---
Ravish Mishra

Labels:

Qatl

NigaahoN se qatl kar de,
na ho takleef dono ko....
tujhe khanjar uthaane ki,
mujhe gardan jhukaane ki... !!!
---
Ravish Mishra

Labels:

12 April, 2007

Shaamat

Na Misaal milegi Tere Husn ke iss Kayanat me...
tu itni kashish bhari Khoobsorti kahan se Le aaye hai...
Labon pe Maikhane, Ankho mein Paymane...
khuda Jane Aaj kis kiski Shaamat Aye Hai....
--
ravish mishra

Labels: